- Голоса:
- Смотри также:
Lata Mangeshkar - Текст песни Phir Wahi Shaam
Woh chup rahen to mere dil ke daag jalte hain
Jo baat kar lein to bujhte chiraag jalte hain
Woh chup rahen to mere dil ke daag jalte hain
Kaho bujhein ke jalein
Hum apni raah chalein ya tumhari raah chalein
Kaho bujhein ke jalein
Bujhe to aise ke jaise kisi ghareeb ka dil,
kisi ghareeb ka dil
Jalein to aise ke jaise chiraag jalte hai
Woh chup rahen to mere dil ke daag jalte hain
Yeh khoyi khoyi nazar
Kabhi to hogi idhar ya sada rahegi udhar
Yeh khoyi khoyi nazarLata Mangeshkar - Phir Wahi Shaam - http://ru.motolyrics.com/lata-mangeshkar/phir-wahi-shaam-lyrics.html
Udhar to ek sulagta hua hai viraana,
hai ek viraana
Magar idhar to baharon mein baagh jalte hain
Woh chup rahen to mere dil ke daag jalte hain
Jo ashk pee bhi liye
Jo honth see bhi liye to sitam yeh kis pe kiye
Jo ashk pee bhi liye
Kuchh aaj apni sunao kuchh aaj meri suno, kuchh aaj meri suno
Khamoshiyon se to dil aur dimaag jalte hain
Woh chup rahen to mere dil ke daag jalte hain
Jo baat kar lein to bujhte chiraag jalte hain
Posted By: Bharati Singh