- Голоса:
- Смотри также:
Jagjit Singh - Текст песни Kal Chaudvin Ki Raat Thi
15. bahut diNoN ki baat hai
fizaa ko yaad bhi nahiN
ye baat aaj kee nahiN
bahut dinoN kee baat hai shabaab par bahaar thee
fizaa bhi khush-gawaar thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
kisi ne muJhko rok'kar
badi adaa se Tok'kar
kaha tha lauT aae'iye
meri kasam naa jaai'eye par muJhe khaBar na thee
maahOl par nazar na thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
maiN shehaR se phir aa gaya
khayal thaa ke paa gaya
us'e jo muJhse door theeJagjit Singh - Kal Chaudvin Ki Raat Thi - http://ru.motolyrics.com/jagjit-singh/kal-chaudvin-ki-raat-thi-lyrics.html
magar meri zaroor thee aur ik hasiN shaaM ko
maiN chal paDa salaam ko
gali ka rang dekh'kar
nayee tarang dekh'kar
muJhe badi khushi huyee
maiN kuch isi khushee meiN tha
kisi ne Jhaank'kar kaha
paraaye ghar se jaai'iye
meri kasma na aai'iye wahi haseeN shaam hai
bahaar jiska naam hai
chala hooN ghar ko choDkar
na jaane jaaoonga kidhar
koi nahiN jo Tok'kar
koi nahiN jo Rok'kar
kahe ke laut aai'iye
meri kasam na jaai'iye